logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - fatema ladak - 2012

Aaja Hussain (AS)

(Aaja hussain aaja, aaja hussain aaja) x4

Maa bulati hai tujhe eh meri rahate jaan



Kab ye mumkin tha balaa haath pehlu se uthe

Par tere gham mei mujhe apne hi gham bhulgaye

Yaad pehlu na rahe jab suni teri fughaan



Maa bulati hai tujhe eh meri rahate jaan



Noke neza pe tera sar to aata hai nazar

Aur badan milta nahi tera maqtal me pisar

Tu hi batlade mujhe patharon mei hai kahan



Maa bulati hai tujhe eh meri rahate jaan



Fiqre asghar thi tumhe fiqr meri bhi suno

Chahathe honge yahi laash pamaal na ho

Mei mithadungi khud hi teri turbat ka nishan



Maa bulati hai tujhe eh meri rahate jaan



Khalq zakhmi hai tera hogi taqleef thujhe

Bas sada dekhe pisar paas bulwale muhe

Tu agar aana sake mei chali aaun wahan



Maa bulati hai tujhe eh meri rahate jaan



Saaf haatho se karun reth zakhmon ki teri

Saaya chadar se karun dhup hai run mei bhari

Aake batlade mujhe kab se hai tishna dahan



Maa bulati hai tujhe eh meri rahate jaan



Jab bhi dethi thi sada haath pehlaye huwe

Paas aate the mere ghutniyon chalte huwe

Yaad aata hai mujhe tere bachpan ka samaa



Maa bulati hai tujhe eh meri rahate jaan



Hai jo ghaibat mei abhi yun tarap jaata hai wo

Sunke akbar ye sada khud chala ataa hai wo

Zehre turbat jo kabhi yeh sadaa deti hai maa



Maa bulati hai tujhe eh meri rahate jaan

HomebookmarkmybayaazSetting